Hm Aaj janenge ki Internship kya hota hain? kya hme ise krni chahiye? Internship ka kya – kya fayda hain? aur ye bhi janenge ki Amazon/Google/Adobe/Goldman sach/Oracle/Infosys etc jaise Company men Internship ke liye kya – kya krna hoga and iska requirement kya-kya hain.
Internship kya hota hain? – how to find internships in 2022 |
Table of Contents
Internship kya hota hain?
Internship ek Professional Learning Experience hai, Jo students ko uske interest ke field me koi bhi company deta hain. Internship me students apne book knowledge ke alawa practical knowledge gain krta hain. aur apne sath – intern logo se aur apne senior se bahut kuch sikhta hain.
Ek tarah se aap samajh skte hain ki Yh bhi ek tarah ko job hain. lekin aapko isse income to jyada nhi hota hain lekin sikhne ko bahut kuch milta hain.
Internship ke bad job milna Confirm nhi hota lekin Job ke liye sahi rasta aur trainning mil jata hain.
Internship kr skta hai,
- High school students
- Undergraduate students
- Graduate students
Internship>Job (For Same Company)
Ek example se hm samajhte hain ki agr aap kisi company men Intern ho jate hain to vo aapke bahut sare Activity Dekhti hain, jaise aap kitna sikh skte ho. aapko kitna aataaa hain. aapka kam karne ka tarika kya hain. aapke kam ka final output kya aur kaisa aata hain etc. In kuch internship ke mahino me aap company ko agr satisfy kr dete hain to Company aapko PPO bhi offer krti hain.
P.P.O (Pre-Placement Offer):
isme company aapko sidhe aapko Fourth-year ke bad Job ka Opportunity de rhi hoti hain. isse aapka fourth year me lagne vali job pahle hi lg rhi hoti hain. aur aap job ke samay ke competetion se bach jate hain. iske alawa aapka bahut sara time, Potential aur bahut kuch barbad hone se bach hain. yh Potential aap kahi aur lagate hai to aap alg field me aur bhi kuch kr lenge ya aap us samay Masti bhi kr skte hain.
Types of Internship
- Paid Internship
- Unpaid Internship
- Partially paid Internship
- Summer Internship
- Remote Internship
Paid Internship: Yh Internship badi-badi Organisation & Company krti hain. isme students ko organization or company Pay bhi krti hian aur haan aaj ke daur me students yhi Internship krna chahta hain. Jisse ki vo khud ka kharcha nikal ske aur college ka fees bhr ske.
Unpaid Internship: Is Internship me intern ko kam ke badke koi Payment nhi diya jata. Isko vahi Organization krvati hain jiska purpose Money earn krne se jyada Service provide krna hota hian. jaise Charities, Hospital, NGO, University, etc. mai khud aise bahut sare NGO me kam kr chuka hu. Unpaid Internship tabhi karen jb aapke future, aapke goal se match kr rha ho.
Partially paid Internship: Bahut sare Company Intern ko Stipend ke rup me uske kam ke badle kuch fix amount pay krti hain.
Summer Internship: Yh Internship 8 se 12 Weak ke liye Summer ke chhutti ke samay hoti hain. yh Internship part-time or full-time dono hota hain. it is depends on Intern.
Remote Internship: Isme Intern without office me gaye, work experience ka lupt lete hain. mtlb intern apne ghr se hi isme kam krte hain.
Benefits of Internship
Internship krne ke bad job mile ya na mile lekin is internship krne ke bich aap bahut sare chij learn krte hain aur isse aapko bahut sare benefits hote hain. jo ki niche diya gya hain.
- Work experience milta hain – students Internship krke apne kitabi knowledge ke alawa real-world ka knowledge & experience gain krta hai.
- Practical knowedge gain krna aasan ho jata hain
- Professional network bnana aasan ho jata hain.
- Confidencs boost – Class ke bad vo kisi office me kam krne ke liye taiyar ho jata hain.
- Career ke bare me rasta clear ho jata hain.
- Stipend milta hai
- Us Company se upr vale company me apply krne ke liye isko resume me mention kr skate hai.
- Job lene me aasani hoti hain( Low Competition)
Process for Internship in 2022
Upr Hmlog dekhe ki Internship kya hota hain, iske kitna prakar hain and iske benefits kya – kya hain? ab hm janenge ki hm logo ko apne kis skill ke anusar Internship me participate krni chahiye? Internship bahut sare profession vale krte hain. for example Internship for engineering students, Internship for llb students, Internship for Medical students, Internship for working professionals, Internship for different category students etc.
lekin hmlog abhi janenge Softwere Engineering Internship. Agr aapko aur bhi profession me kaise aur kaha internship krna hain ye sb janna chahte hain to do comment in the comment box. and hr profession ke liye Internship ka sara process aapko btaya jaye ya nhi ye hme comment box me bataye.
Software Engineering Internship
Isme aapko ek programming Language aana chahiye. aapko koi ek language sikhne me max to max 2-month lg rhe hote hain our us language ko sikhne ke bad aapko koi dusra language sikhne me ya dusra language me shift hone me jyada se jyada 15 din hi lagenge. aur vo aap aasani se sikh jayenge.
Aapko kisi achchhe company jaise Amazon/Google/Adobe/Goldman Sachs/Oracle/Infosys me Internship krne ke liye Km se km DSA achchhi tarah se aana chahiye aur Competitive Coding profile aapka jyada strong hona chahiye. iske sath – sath aapka
pr km se km 4-5 star ka rating hona chahiye. aur Resume aapka bahut strong and Attractive hona chaihiye. aur aapke dwara upr ke platform pr achchha khasa question solve kiye huye hona chahiye.
2022 me Internship ke liye kis madhyam se apply Karen?
Niche ke diye Kuch Platform se aap Internship ke liye apply kr skate hai.
Kuch bade-bade Company jisme hm direct Internship ke liye apply kr skte hain
Amazon/Google/Adobe/Goldman Sachs/Oracle/Infosys, ye sare company samay samay se apne requirement ke hisab se Internship ke liye Opportunity nikalte rhti hain. to aap in sb company ke official website pr jakar regularly check krte hain. jisse ki aap in sb bade company ke Internship program bhag le skenge.
FAQ’s
1. Kya hame Internship krni chahiye?
Ans: Yes
2. Internship meaning in Hindi
Ans: isse hme job experience milta hai aur koi bhi chij jisme hm internship kr rhe hai usme practical knowledge hota hain.
3. we can Internship in digital marketing?
Ans: Yes
4. How to get an Internship in TCS?
Ans: You can go by the above process
5. Is an Internship in web development Available?
Ans: Yes
6. How we can Internship with the government?
Ans: Isme Government paid or unpaid internship nikalti hain jo ki aapko krni chahiye. aur bat rh gayi ki pta kaise chalega ki kb iska notification aayega tb to aapko upr ke diye haye internship ke website hamesha check krte rhna hoga.
7. Full Form of PPO
Ans: Pre-placement offer